Dosto aaj ke time me internet hamare zindagi ka ek inportant hissa ban gya hai. Log bina internet ke nhi reh sakte. Toh dosto aaj hum iss post me yahi janege ki Internet kya hai aur internet kaise bana

Internet kya hai aur internet kaise bana
Aaj ke samay me internet users ki tadaat itni badh chuki hai ki iski kalpna bhi nahi ki ja sakti. Aur yeh lagataar badhti hi jaa rahi hai. Aapko yeh jaankar hairani hogi ki ek samay tha jab internat ka istemaal bas kuch hi log karte the. Aaj hum sab internet pe depend hai lag bhag sabhi kaam aaj internet ke dwara hi kiya jata. Yaha har ek second me google pe lakho search kiye jate hai. Pictures, videos aur bhi kayi data share kiye jate hai. Aur har ek second me lakho, caroro ka online transaction kiya jata hai. Ese me agar kuch minute ke liye internet band ho jaye ya down ho jaye. Toh aap samjh sakte hai ki kitna ka nuksaan hoga. Toh aaj ke time pe bohot se esi chiz hai jo ki puri tarah internet pe depend hai. Toh dosto internet kebare me toh hum sab jante hi hai ki yeh kya hai aur iska kya use hai.

Lekin kya dosto aap logon ne kabhi yeh socha hai ki Internet ki khoj kaise hui. Kisne iska aviskaar kiya. Well, dosto aaj hum isi topic ke baare ne janne wale hai. Toh dosto agar aap interested hai toh iss post ko pura padhe.

Internet kya hai aur internet kaise bana


Internet kya hai aur internet kaise bana


Yeh baat hai 1957 ki jab sobiyat union ne apna pehla men made satellite ko launch kiya tha. Tab yeh khabar kaafi tezi se faill gayi. Aur yeh khabar jab america ke paas paunchi toh ve shocked ho gye ki yeh kaise possible hai. Aur unke bich nok jhok ho gayi aur ek cold war shru ho gya. Isi ke chalte america ke President ( Dwight D. Eisenhower) jinho ne 1958 me DARPA ko bana diya ARPA ( Advanced Research Project Agency ) jise short form me ARPA kaha jata hai. yeh agency banane ka main moto tha science and technology me apne desh ko aage badhana. Uss time pe jo computer size tha wo bohot hi bada tha Jise rakhne ke liye ek pura kamre ki jarurat padti thi. Aaj ke computer pehle ke mukable kafi choti hoti hai aur bohot hi kam jagha leti hai. Uss samay computer me jaydatar magnetic tape ka use kiya jata tha. Aur multiple computer ko ek sath ek network me connect karne ka koi bhi tarika nahi tha. Toh isi ke chalte ARPA ne socha kyu na esi technology ko laya jaye jisse multiple computers ko ek sath ek network me connect kiya jaye. Bus isi technology ko banane ke liye ek company ka help liya jiska naam tha BBN technologies  inhone ek esa network creat kiya jiska main moto tha chaar alag alag computer jisme alag alag operating system ho use ek sath ek network me connect karna. Aur iss network ka naam diya gya ARPANET aINTER-NETWORKINGET pehla esa network ban gaya jisme TCP/IP protocols ka use kiya gaya. Yani internet rules ka use kiya gaya. Yeh sab ARPA ki hi den hai. Aaj ke time me internet pe jo bhi TCP/IP  use kiya jata hai wo sab ARPA ki hi den hai. Aur fir isi network pe kaam chalta raha. Fir 1973 me engineers ne socha ki kyu na iss ARPANET ko PR (packet radio) network se connect kiya jaye. PR network basically ek esa network hota hai jisme radio transmiter aur receiver ka use kiya jata hai. Do alag computers ko ek network me connect karne ke liye kiya jata hai. Isme kisi bhi tarah ka phone line ka use nahi kiya jata. Yahi iss network ki khaas baat hai. Iss network par kaam chalta raha aur lag bhag 3 saal lage isme success paane ke liye. Aur teen saal ke baad finally 2 computers ko ek network me connect kiye gaye. Iske ek saal baad hi ise SATNET Yani satellite network se connect kiya gaya. Jisse multiple computers ko ek sath connect ho sake. Iske success hote hi aur bohot sare networks isse connect ho gaye. Multiple network ek sath connect hone ke karan ise INTER-NETWORKING kaha gaya. Jise aaj ke time pe hum internet kehte hai. Iske baad 1989 main tin burners lee ne ek esa network design kiya ek esa rule banaya. Jisse internet pe uplabdh jaankari ko aap boho hi aasani se bus ek url ki madad se dundh sakte hai. Access kar sakte hai jise naam diya gaya WWW yani world wide web 

Aaj aap dekhenge ki kisi bhi website ke url ke pehle www aata hai yeh sab tim burners lee kimeherbani hai. Aaj lagbhag sabhi electronic gagets internet se connected hai aur aane wale samay me hamare daily life ki saari chize internet se connected hogi. Toh dosto ese hua internet ka aviskaar .aur hume internet mila. Aasha karta hoon dosto aap sabko yeh post pasand aaya hoga. Aur bhi esehi jaankari ke liye hamare sath jude rahe.

Post a Comment

Previous Post Next Post